Saturday, July 11, 2009

Humsafar


Badal ko chhone ki chahat na thhi..bas maanga thha ek tukda aasman..
Samundar ko peene ki chaah na thhi..bas chaaha thha ek ghoont tera pyaar..
Dharti ko paane ka arman na thha..bas paana thha tere dil mein ek kona..
Tere sansaar mein aane ki tamanna to thhi..par na baandhi thi koi ummeed..
Na maanga thha zindagi bhar ka saath..bas chaah thhi kuch antim palon ke saath ki..

Chhodh gaya mujhe mera hi apna..kho gaya kahin mera chhota sa sapna..
Jiske liye jeeta raha main aajtak..na lagne di jise dukh ki koi bhanak..
De na saka wo mujhe chaar palon ka saath..udna jo tha usse mere hi dikhaye badlon ke paas..

Ab na chaah hai kisi ko paane ki..na hai kisi ke khone ka darr..
Zindagi ki bachi-khuchi iss raah pe main chal chala banke apna hi humsafar..

5 comments:

Unknown said...

nice one...keep it up gurl... [:)]

Divya said...

how u come up with so much intense work everyday sweetheart...? :)

Arc said...

great work...........last line very nice...says it all.....

Shilpi said...

May all the wishes u have wished for come true soon...!!
love u..keep up ur efforts..!!

Unknown said...

oye moti
ki ho gaya hai tumhe
kavtri ramya srivastava